" Janab bas ek baar Shuruaat toh Kijiye " Hum aksar shuruaat karnese Ghabarate hai aur Chaukhat par aaye hue Mauke ko bas uhi jane dete hai. Aur bahane... bahane toh hazar banate hai. Sirf dusaro ko hi nahi khud ko bhi samjhane lagte hai ki kyu... aakhir kyu jane diya haat aaye mauke ko? Kya hum kabil nahi hai ya hamare pass anubhav nahi hai. Are janab shuruaat toh karke dekhe kabiliyat aur Anubhav khud ba khud aajayega. Shuruaat na karne ka gum hi akasar zindagi ke aakhari lumho mai bechain kardeta hai.Vo pal khuch aisa hota hai ki aapko us chij ki kimat toh pata chalti hai par aap kuch kar nahi sakte . Toh kya aap zindagi ke us aakhari pal mai afsos karna chahate hai ya us aakhari pal ko bhi jina chahate hai. Zindagi Aapki Faisala aapka. Bas aakhir mai yahi kahugi "Janab bas ek baar Shuruaat toh Kijiye". (Created By its_nehart)